satya shanti vachan (30)
1 Agar aap hmesha khud ki tulna dusro ke sath
karte rahte hai,
Toh aap
jaroor ahankari ya irsyaay ke shikar ho jayenge,
2 acchii pustake
hamare acche doston ki tarah hai,
Aslil sahitya
hamare man ko dusit karta hai aur
Hame galat
raste par jane ko majboor karta hai!
3 samasyay kaisi
bhi ho inse ghabaraiye mat’
Inko pariksha
samajh kar pass kijiye!
4 jeevan ko aabad
karna hai toh main kaun hoon?
Is paheli ko
hal kijiye !
Main aur mere
pan ke bhaav se mukt ho jaiye!
5 gyaan sabse bada
dhan hai,
Khud se
puchhe-‘main kitna dhanwan hoon’!
6 yadi apke man
se gande bol nikalte hai,
Toh apka man
kaisa hoga?
7 hamare vachan chahe kitne hi acche kyo na ho
Par duniya hume
humare karmo se pahchanti hai!
8 yadi aap mrityu
se darte hai toh iska
Arth hai ki aap
apne jeevan ko
Bikul mahatwa
nahi dete!
9 aap apne adhikaro
ko lekar hi jagrook nahi rahe
Is bat ka bhi
dhyan rakhe ki aap sahi marg par toh hai!
10 jyada sansarik
gyaan aane se apko ahankar ho sakta hai
Par adhyatmik
gyan jitna jyada badhta jata hai insaan ki
Soch utni hi
achhi hoti hai aur sawabhaav me namrta aati hai!
11 aap kisi samsyay
ke bare me kitni bhi chinta kare,
Par ye jaroor
soche ki chinta me dooba man us
Samasyay ka
samadhan kar sakta hai kya?
12 samay hi jeevan hai ! samay ko barbad karna
Apne jeevan ko
barbad karne ke saman hai!
13 kisi dusre insaan
ki burai karne se pahle
Khud me jhaank
kar dekh lena chahiye!
14 lobh ko abhi
jeetane ka prayas kare
Kyonki “manav
sab budha huwa, trishna bhai jawan”!
15 jab koi parmatma
ko atma-samarpan karta hai
Toh wah apna
man ishwar ki or lgakar usi ki shrimat
Ko sunta hai
aur usi ke anuroop karam karta hai!
16 hum sitaro ki
doori aur samundar ki gahrai ka anveshan karte hai
Parantu hum
kaun hai aur au res sansar me kyon aaye hai,
Is visay me hum
kya jante hai?
17 kabhi-kabhi hum
dusro ko badle ke liye badhye kar dete hai
Kyonki hum
chahte hai wo waise hi bane,jaisa hum chahte hai!
18 kisi cheez ko
samajhne ke liye gyan ki jaroorat hoti hai
Par use mahsoos
karne ke liye anubhav ki jaroorat hoti hai!
19 ek baar apko kuch
na karne ki adat pad jaye toh aap
Dekhenge ki
apke pass busy rahne ke liye samay hi nahi bachta!
20 sheese me aap
apna chehra dekh sakte hai
charitra nahi!
21 hamare vicharo
ka uchai hi hamari
Khusi ki
uchai nirdharit karta hai!
22 agar aap ateet ko
hi yaad karte rahenge toh
Vartman me
jeena muskil lagega aur
Bhavisya
namumkin lagega!
23 yadi ghar me
hinsa suru ho jaye toh yah
Samaj me
khoon-kharabe jaisa umar roop
Dharan kar
sakti hai!
24 yadi antrik sthiti ashanti ki hogi toh
Sabhi bahari
cheezo me gadbadi maloom padti hai!
25 apke mukh se
nikalne wale shabdo me se
Kitne shabad
parmatma ke liye the?
26 abhi ka samay
jo apke hath me hai ,
Aur usko
mahatva nahi dete toh jo
Bhavisya me apko
milne wala hai
Aap uska samman kaise karenge!
27 kaun si cheez apke liye jyda awayayk hai-
Apka life class ya uchit adarso wala
jeevan?
28 agar koi netraheen hai toh iska matalb
Ye bilkul nahi hai ki wo andhkar me
hai!
29 charitra ek aisi wastoo hai
Jo sthool darpan me dikhai nahi jaa
skti!
30 savdhan rahiye- apke dwara kia huwa har
kaam
Aap tak wapas jaroorb ayega
Bas aap ye sochiye ki apne achha kiya
hai yaa bura!
Dosto aap bas ek ek karke apne
jeevan me ye gun swikaar kare jaroor apka aur apke aas pass rahne walo ka bhla
hoga!
Comments
Post a Comment